1. Tamaam kaamo ka darumadaar niyyat par hai aur aadmi ke liye sirf wahi hai jis ki us ne niyyat ki (Sahih bukhari 1)
2. Allah ta’ala tumhaari shaklo aur tumhaare amwaal ko nahi dekhta, balke tumhaare dilo aur amaal ko dekhta hai (Sahih muslim 2564)
3. Logo Allah ke huzoor tauba wa isteghfaar karo, main Allah ke huzoor din mein 100 martaba tauba karta hoon (Sahih Muslim 20702)
4. beshak Allah ta’ala us waqt tak bandhe ki tauba qubool karta rehta hai jab tak mauth ki kayfiyath taari na ho (Jaame Tirmizi 3537)
5. jo Shaqs Allah ta’ala aur aakhirath ke din par imaan rakhta hai ose chahiye ke acchi baath kahe warna chup rahe (Sahih Bukhari 6138)
6. Sabr wahi hai jo sadme ke shuro mein ho (Sahih Bukhari 1238)
7. Mumin Ke Maamle par Ta’ajjub hai ke
Us ka har Maamla Khair par Mabni Hai,
Aur Ye Ezaaz Sirf Mumin Hi ko Haasil hai,
Ke Agar Use Khushi Haasil hoti Hai to Wo Uspar Allah Ta’ala ka Shukr Karta hai,
Aur ye Shukr Ada Karna Uske liye Nihayath Mufeed hai,
Aur Agar Use Koyi Musibath ya Pareshani Laheq hoti hai to Wo Uspar Sabr karta hai,
Us Sabr karne mein bhi Uske liye Khair Wa Barkath hai
<3 Sahih Muslim 2999
8. Taaqatwar Wo nahi Jo Logo ko Kushti mein Pachad de, haqiqi Taaqatwar Wo hai Jo Gusse ke Waqt Aapne Aap par Qaabo pa le
<3 Sahih Bukhari 6114
9. Ek Shaqs ne Nabi ﷺ se Arz kiya, Mujhe Nasihath Farmaiye.
Aap (Saw) Ne Irshad Farmaya Gussa Na Karo,
Usne Baar Baar Nasihath ki Darkhast ki,
Aap ﷺ ne Har Baar Use irshad farmaya: Gussa Na Karo
<3Sahih Bukhari 6116
10. Jo Cheez Tumhe Shaq mein daale Use Chod kar Us Cheez ko Ikhtiyar karo jo Shaq Mein na Daale,
Beshak Sacchayi Sukoon Qalb ka baayes hai aur
Jhoot Insaan ko Muztarab aur Pareshaan rakhta hai
<3 Tirmizi 2518
11. Tum jaha aur jis jagah bhi ho Allah ta’ala se daro aur gunaah ke baadh naki karo, wo us gunaah ko khatam kar degi, nez logo ke saath husn sulook se pesh aao
(Jaame Tirmizi 1987)
12. Ye bhi insaan ke Islam ki qoobi hai ke jis maamle se us ka talluq nahi ose chohd de
(Jaame Tirmizi 2317)
13. 2 nemate aisi hai jin ki aksar log qadar nahi karte – Seheth aur Faraaghath
(Sahih Bukhari 6412)
14. jab bandha bimaar hota hai ya safar ki haalath mein hota hai to us ke naam-e-amaal mein un amaal ke barabar likh diye jaate hai jo wo apne ghar mein haalat-e-sehet mein kiya karta tha (Sahih Bukhari 2996)
15. Har neki Sadqa hai
(Sahih Bukhari 6021)
16. Jo musalmaan koi pauda (ya daraqt) lagata hai, to us se jo kuch kha liya jaaye wo us ke liye sadqa (charity) ban jaata hai, us se jo kuch chori ho jaaye wo us ke liye sadqa hai, darinde us se jo kuch kha jaaye wo us ke liye sadqa hai, jo kuch parinde chak jaaye wo us ke liye sadqa hai, aur jo koi ose nuqsaan pahonchaaye wo us ke liye sadqa hai
(Sahih Muslim 1552)
17. Neki aur maroof ke kisi bhi kaam ko haqeer na jaanu, qaah apne (Musalmaan) bhai ko khandah peshaani se milna hee ho (yaani has kar, muskura kar milna bhi neki hai)
(Sahih Muslim 2626)
18. Jahannam ki aag se bacho qaah khajoor ke ek tukde hee ko sadqa wa khairaath kar ke bach sako
(Sahih Bukhari 1417)
19. Qiyamath ke din Adam ki saari aulaad ki sardaari mere paas hogi, main hee wo shaqsiyath hoon jis ki qabr puri makhlooq mein sab se pehle kholi jaegi, main hee sab se pehle bargah-e-ilaahi mein sifaarish karonga aur meri hee sifaarish sab se pehle qubool ki jaegi
(Sahih Muslim 2278)
20. tum mein se jo shaqs mere baadh zinda raha wo bahuth se eqtelafaath dekhega. qabardaar! deen mein nayi nayi bid’aath ejaadh karne se bachna kyo ke ye gumraahi hai. agar tum mein se koi ye zamaana paale to ose chahiye ke meri sunnath aur hidayath yaafta khulafa-e-rashideen ke tariqe ko laazim pakde, un ko daadho se mazboth pakde
(Jaame Tirmizi 2676)
21. tum may say jo shaks meri baad zinda raha vo bahut say iqtelafaat dekhega. Qabardaar ! deen may naye naye bidaat eajaad karne say bachna kyun kay ye gumraahi hai.agar tum may say koye ye zamaana paale to usay chahiye ke meri sunnat aur hidaayat yaafta khulfa- e- rashedeen ke tarekhay ko laazim pakad le . in ko daadhon se mazboot pakad le .
(Jamia Tirmizi 2676)
23. jo logon par rahem nahi karta Allah Ta’ala bhi us par rahem nahi karega
.(sahi muslim 2319)
24. Ek doosray say hasad na karo, na khareed va farokht may (dhoka denay kay liye) boli badhaoo, na ek doosre se baghz rakho, na ek doosre say berukhi barto aur na tum may se koi doosray kay s ka bhai hai musalmaano uday pzlm karenuar souda kare.Allah kay bando bhai bhai ban jaao
.(sahi muslim 2564)
25. musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karen na usay (madad kay waqt be-yaaro madadgaar chod kar) rusva kare, aur na usay haqeer jaane.
(sahi muslim2564).
26. apnay bhai ki madad karo, vo zalim ho ya mazloom. ek aadmi nay arz kiya: Allah kay Rasool(saw) ! agar vo mazloom ho tab to us ki madad karo, lekin jab vo zalim ho to us ki madad kaisay karon?Aap nay ershaad farmaya: tum us ko zulm say roko,yahi us ki madad hai
.(sahi bukhari 6952)
27. musalmaan kay musalmaan par paanch haq hai: salaam ka javaab dena,mareez ki timardaari karna, janazay kay liye jaana, daavat khubool karna aur cheenk ka javaab dena.
(sahi bukhaari 1240).
28. jo banda dunya may kisi banday ki parda poshi karta hai, Allah ta’ala qiyamat kay din zaroor us kay aiboon par parda daalega
.(sahi muslim 2590).
29. jo shaks Allah ta’ala aur aakhirat kay din par emaan rakhta hai usay chahiye kay sila rahmi (yaani rishtedaaron say acha (sulook) kare.
(sahi buqaari 6138).
30. jis nay do bachhon ki tarbiyat aur parvarish ki hatta kay vo balogat ko pahonch gaye, qiyamat kay din vo meray saath(us tarah qareeb hoga). Aap( S.W.S) nay apni ungliyon ko milaaya
(sahi muslim 2631)